Wednesday, 28 August 2013

saanjh

Haan kisi kinaare par meri saanjh hogi,
Jab sagar ki lehron se bhar jayega mann,
woh lehron par uchhalna, girna aur phir sambhalna
badal ki boondein mere saath hongi, jab kisi kinare par meri saanjh hogi...

Sooraj ki dhoop aur din ka ujala,
meri neendon me ann ginnat sapnon ka jaala
har subah ki daud un sapnon ki oar
har raat ki thakaan phir aashaon ki bhor
Indradhanush ke rangon si zindagi bhi rangi hogi, jab kisi kinare par meri saanjh hogi...

Pyaar ke chheenton se bheega jeevan hoga
Jeevan ka har pal ankhon ke rubaroo hoga
har pal par mujhe garv hoga har lamhe par yakeen
bharosa ki is se behtar aur kuchh nahin

Sitaron sa mere hisse ka ambar hoga
ik mehki hawa se halki har subah
har umeed ka anjaam khoobsurat hoga

phoolon si kashish meri zindagi me hogi, jab kisi kinare par meri saanjh hogi...

Amrita Singh

I wield my power each day, To hold back my tears; craftless laughter, Reigning in my implicit trust in humans, Put on this face, that i...